Загрузка страницы

kaha tha na

kaha tha na
ke yun sote huye
mat chod ke jana

mujhe beshak jaga dena
bata dena
tumhen rasta badlna hai
meri hadh se nikalna hai

tumhen kis baat ka darr tha ?
main tumhen jaane nahi dena ?
kahin pe qaid kar leta ?

arre pagal ! muhbbat ki tabiyat mein
zabardasti nahi hoti
jise rasta badlna ho
usse rasta badlne se !
jise hadh se nikalna ho
usse hadh se nikalne se !
na koi rok paaya hai
na koi rok paayega
toh tumhen kis baat ka darr tha ?

mujhe beshak jaga dete
main tumhko dekh hi leta
tumhen koi dua deta
kam-s-kam yun toh na hota

meri saathi ye hakikaat hai
tumhare baad khone ke liye
kuch bhi nahi baaki

magar main khone se darta hun
main ab sone se darta hun
kaha tha na
yun chod ke na jaana

I cried a lot before making this video,sach mein hila ke rakh diya ,,,,

Видео kaha tha na канала nshuu786
Показать
Комментарии отсутствуют
Введите заголовок:

Введите адрес ссылки:

Введите адрес видео с YouTube:

Зарегистрируйтесь или войдите с
Информация о видео
10 июля 2010 г. 13:18:28
00:01:20
Яндекс.Метрика