Загрузка страницы

ab ke tajdeed-e-waffa ka nahi (ghulam ali)

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahin imkaan jaana
yaad kya tujh ko dilayi tera paimaan jaana
Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana
Zindagi teri ata thi so tere naam ki hai
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan jaana
Dil ye kehtaa hai ki shaayad ho fasurdaa tu bhi
dil ki kya baat karein dil to hai nadaan jaana
Avval-avval ki muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhi tera chehara tha gulistan jaana
Aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jaan jaana
Muddaton se ye alam na tavaqqo na ummeed
dil pukare hi chala jaata hai jaana jaana
Hum bhi kya saada the hum ne bhi samajh rakha tha
Gam-e-dauraan se juda hai Gam-e-jaana jaana
Ab ki kuchh aisi saji mehafil-e-yaaraan jaana
sar-ba-zaanuu hai koi sar-ba-girebaan jaana
Har koi apni hi aavaz se kaanp uthata hai
har koi apne hi saaye se hiraasaan jaana
Jis ko dekho vahi zanjeer-ba-paa lagta hai
shehar kaa shehar hua daakhil-e-zindaan jaana
Ab tera zikr bhi shayad hi Gazal mein aaye
aur se aur hua dard kaa unvaan jaana
Hum ki ruuthi hui rut ko bhi manaa lete the
hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijra jaana
Hosh aayaa to sabhi khwaab the rezaa-rezaa
jaise udte huye auraaq-e-pareshaan jaanaan

Видео ab ke tajdeed-e-waffa ka nahi (ghulam ali) канала nshuu786
Показать
Комментарии отсутствуют
Введите заголовок:

Введите адрес ссылки:

Введите адрес видео с YouTube:

Зарегистрируйтесь или войдите с
Информация о видео
10 июля 2010 г. 20:16:41
00:09:03
Яндекс.Метрика