Загрузка страницы

Namaz Ki Ahmiyat - Durust Namaz - Faqeer Noor Muhammad Kulachi!!!

Namaz Ki Ahmiyat, Durust Namaz ke bare mein Faqeer Noor Muhammad Kulachi kya farmate hain? Faqeer Noor Muhammad Kulachi ne ik sawal uthaya hai ke Namaz ki Ahmiyat ko samjho, apni Namazon ko sahi kijiye ya apni Namaz Durust karo, apni Namaz mukamal karo. Namaz parhne ka sahi Tarika? Agar ap Namaz parhte hain us mein koi bure khayalat ya waswase nahi hain, Agar Namaz mein ap ka dil bhi hazir hai, Agar Namaz mein ap ki zuban iqraq kar rahi hai aur dil tasdeq kar raha hai, Agar ap ko Namaz mein lazat, kaif aur saror hasil hai, Agar ap ki Namaz mein feeling hai ke Rab se humkalami ho rahi hai, Agar Namaz mein ye feeling hai ke Allah ap ko dekh raha hai aur ap ki bat bhi sun raha hai. Agar ap ki Namaz ke douran feeling hai ke mera Allah ke siwa koi nahi, aur wohi wahdahu la sharik hai aur mein us ki bargah mein khara hon. Agar Namaz mein lazzat, Ishq, Mohabbat, Halawat mehsos hoti hai to Namaz Durust hai, aur yehi Namaz ki Ahmiyat bhi hai. Agar ye sab feeling nahi hoti to phir ap ki Namaz sahi nahi hai, ap ki Namaz durust nahi hai, phir ap Namaz ki ahmiyat ko samjh hi nahi rahe. Agar Namaz mein bure khayalat hai Namaz mein waswase hain jism to musalle pe hain lakin dil musalle pe nahi hai, dil aur dimagh agar Namaz mein hazir nahi hain, to phir ap ko Namaz ki Ahmiyat ka ahsas hi nahi hai aur ap ki namaz durust nahi ho rahi hai. Agar Namaz Sahi na ho, agar Namaz durust na ho phir ye firqawariyat ko janam deti hai, ye "zeir" ya "zabbar" ke farq se logon ko kafir karar de deti hai, Agar Namaz sahi ya durust nahi hai to us ki Allah ki bargah mein qabooliyat nahi hai. Agar Namaz durust ya sahi na ho to fitna aur fasad ko janam deti hai, agar namaz durust na ho to qatal o ghairat ko janam deti hai, Namaz agar durust ho gai to insan Rab se wasilbillah ho jata hai aur sab insan ke sath bhi aur Allah ki paida ki hoi har makhloq se bhi pyar aur Mohabbat ho jati hai. Namaz ki Ahmiyat nihayat hi Ahm hai ke apni Namaz ko durust karo, ye namazen us waqt tak durust nahi hongi, jab tak Qalb saf nahi hota, jab tak Qalb sahi nahi ho jata, jab tak Qalb ko apni sahi manzil nahi mil jati, jab tak insan ke andar Qalb bedar nahi ho jata us waqt tak Namaz sahi nahi ho gi. Faqeer Noor Muhammad Kulachi apni tasnif Irfan mein farmate hain: Is mein inhon ne Namaz ke opar boht si batein ki hain, Jab tak dil aur dimagh ko duniyavi chezon se khali kar ke is mein zikr Allah aur tasawwur ism e Allah qaim na kiya jaye namaz ke doran tab tak Namaz sahi aur Mukamal nahi hoti. Islam mein Namaz par kafi sari Hadees hain aik Hadees hai ke Jab tak Namaz mein ap ka dil hazir nahi hai us waqt tak ap ki Namaz nahi hoti. Yani Allah ke siwa kisi kisam ka koi khayal dil mein na ho tab Namaz sahi aur durust hai. Aur is ke liye Allah taala ne Quran e Pak ki Surah Baqarah mein bhi farmaya hai: Apni Namaz par Muhafiz aur Nigehban bane raho, Aur apne ap ko Allah taala ke liye pori mehviyat mein rakho, Yani jab bhi Namaz parho pore dil se magan ho ke Allah ke liye hi Namaz parho aur dil mein Allah ke siwa kuch aur na ho. Tab ja ke ap ki Namaz Sahi bhi hai aur durust bhi aur tabhi ap ko Namaz ki ahmiyat ka ahsas bhi ho ga. #NamazKiAhmiyat #FaqeerNoorMuhammadKulachi #FikarEiqbal

More Related Videos Vist For

https://twitter.com/fikar_iqbal
https://www.facebook.com/Advocate-Zuhaib-Hafeez-218700805689062
https://www.fikareiqbal.com

Видео Namaz Ki Ahmiyat - Durust Namaz - Faqeer Noor Muhammad Kulachi!!! канала Fikar E Iqbal
Показать
Комментарии отсутствуют
Введите заголовок:

Введите адрес ссылки:

Введите адрес видео с YouTube:

Зарегистрируйтесь или войдите с
Информация о видео
1 июля 2021 г. 19:43:35
00:06:07
Яндекс.Метрика