Загрузка страницы

Is Daur Ke Insaan Se Kuch Bhool Hui Hai - Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقت

THE GREAT KALAM:- Is Daur Ke Insaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Recital:- Aziz Mian Qawwal
Writer:- Unknown

FOR MORE VIDEOS "SUBSCRIBE" Haqiqat حقیقت".
UPLOAD BY:- FARHAN SHEIKH (PALSUD)

HAQIQAT APP:- https://bit.ly/2YKtwgb

FACEBOOK:- https://www.facebook.com/HaqiqatRubaru/

INSTAGRAM:- https://www.instagram.com/HaqiqatRubaru

TWITTER:- https://twitter.com/HaqiqatRubaru

YOUTUBE:- https://goo.gl/3kqYuT

#HaqiqatRubaru #Haqiqatحقیقت
---------------------------------------------------------------------------------------------------
Is daur ke insaan se kuch bhool hui hai

Aik takhaiul jo tassawur mein na aa sakta ho
Haan magar qalb ke goshai mein sama sakta ho
Nuqtay ki oonch neech mein sab se juda hua
Aakhi ulat plat kay phira bhi khuda hua

Bargasht ae yazdan se kuch bhool hui hai

Khaaksaari ka maaza hum ne yaheen dekh liya
Jis jaga sajda kia tujh ko waheen dekh liya
Hum nazarbaghon se tu chup na sakaa jaan e jahan
Mian tu jahan jaa ke chupa hum ne waheen aake dekh liya
Aankhon wala tera jo ban ka tamasha dekhe
Deeda e kaur ko kiya aaye nazar, kiya dekhe

Uski hasrat hai jise dil se bhula bhi na sakoon
Are dhoondne us ko chala hoon jise paa bhi na sakoon
Tera aastan to na mil saka, teri rehguzar ki zameen sahi
Aur kahin ne to yaheen sahi
Agar hota woh majzoob e farangi is zamane mein
To iqbal us ko samjhata makam e kibriya kia hai

Gulshan mein saba ko justujoo teri hai
Bulbul ki zaban pe guftugoo teri hai
Wah rey qudrat, tere andaazy
Jis phool ko soongta hoon, boo teri hai

Falsafi ko behas ke andar khuda milta nahi
Aql ayyar hai sau bhais badal leti hai
Aql amad, deen o duniya shud kharab
Ishq amad, deen o duniya kamiyab
Door suljhata hai lekin sira milta nahi

Maqam e faqr toh kitna buland hai shahi se
Rawish teri jo gadayan na ho toh kiya kahiyay
Tere dimagh mein butkhana hai to kiya kahiyay

Gala toh ghot diya ahl e madressa ney tera
kahan se aye sada la illaha il allah

Bargasht ae yazdan se kuch bhool hui hai
Is daur kay insaan se kuch bhool hui hai

Is jabr pe bhi zauq bashar ka yeh haal hai
Kiya jaane, kiya karay, jo khuda ikhtiar dey

Har daur mein ik baat bohat khoob hui hai
Har ik tamanna meri masloob hui hai
Bunyad ki har eent pe likha hai mera naam
Deewar magar aap se mansoob hui hai

Jo zara see pee kay behak gaya
Use mehkaday se nikal do
Yahan kam nazar ka guzar nahi
Yahan ahl e zarf ka kaam hai
Ab is qainat meh ay jigar,
Koi inquilaab uthai ga phir
Ke buland ho ke bhi aadmi
Ab bhi khwahishon ka ghulam hai

Khushi se door, alam kay qareeb lagtay hain
Yeh log teray shehr kay ajeeb lagtay hain
Jo aik isharay mein dunya khareed saktay hain
Woh dekhne mein bohat he ghareeb lagtay hain
Peambaron ka nagar hai ya qaatilon ka nagar
Yahan darakht bhi mujh ko saleeb lagtay hain

Fareb e waqt ney ghehra hijab daala hai
Wahan bhi shamay jala do jahan ujala hai

Lay saans bhi ahista kay naazuk hai bohat gaam

Bargasht ae yazdan se kuch bhool hui hai
Is daur kay insaan se kuch bhool hui hai

Aadmi ko bhi mayassur nahi insaan hona

Aray na sahi kuch magar, itna to kiya kartay thai
Mian woh mujhai dekh kay pehchaan liyay kartay thai
Ab toh insaan ki azmat bhi koi cheez nahi
Log pathar ko khuda man liyay kartay thai

Meray haathon se tarashai huay pathar kay sanam
Aaj but khane mein bhagwan bane baithai hain

Mein ne insaan ko puja toh gunahgar hua
Log pathar ko khuda maan liyay kartay thai

Saaqi ki jabeen par chamak uthai hain sitaray
Shaiad meray imaan se kuch bhool hui hai

Janab e sheikh ulajhtay hain kis ta’aluq se
Sharab kay yeh koi rishtaydaar bhi to nahin

Yeh ghalat hai sharaab ki tareef
Is ka zehnon pe raj hota hai
Sirf hiddat sharab deti hai
Baqi apna mizaj hota hai

Bari haseen hai zulfon ki shaam pee leejiyay
Hamaray haath se do chaar jaam pee leejiyay
Pila ey jab koi mashooq apne hathon se
Sharaab phir nahi rehti haraam

Bay wazoo agaya shaiad koi mehkhane mein

Sharab seekh mein daali, kabab sheeshai mein

Aik mein hoon jo behak jaata hoon tauba ki taraf
Warna rindon mein bura chaal chalan kiska hai

Ghairon ko ata kartay hai gulbul kay samar bhi

Jaam har baar he ghairon ko ata hota hai

Koi baada kash, koi tashna lab,
Kisi kay haath mein jaam hai

Ham kaheen mehroom na reh jain teri bazm mein
Naam sun kar aaye hain pir e maikhana tera

Ay khana bar andaz e chaman kush to idhar bhi

Jaam mera tauba shikan, tauba meri jaam shikan
Saamne dhair hein tootay huay paimanon kay
Meh se mein tauba karoon? Saaqia tauba, tauba
Mein ne dunya kay dikhane ko qasam khai hai

Jis daur mein lut jaye faqeeron ki kamayi
Us daur kay sultan se kuch bhool hui hai

Aray un kay daaman ko cherti hai saba
Hai qismat kay mein saba na hua
Woh, shahnshah nahi bhikari hai
Jo faqeeron ka aasra na hua

Nigah e fakhr mein shan e sikandari kiya hai?
Khiraj ki jo gada ho woh qaisari kiya hai?

Isiy waja se ita’ab e maloot hai mujh par
Mein janta hoon maal e sikandri kiya hai

Aray baghban ko lahoo ki zaroorat pari
Sab se pehlay hi gardan hamari kati
Phir bhi kehtay hein hum se yeh ahl e chaman

Видео Is Daur Ke Insaan Se Kuch Bhool Hui Hai - Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقت канала Haqiqat حقیقت
Показать
Комментарии отсутствуют
Введите заголовок:

Введите адрес ссылки:

Введите адрес видео с YouTube:

Зарегистрируйтесь или войдите с
Информация о видео
3 июля 2020 г. 23:30:00
00:59:19
Другие видео канала
Dekhoji Duniya Ka Ajab Bazar | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideDekhoji Duniya Ka Ajab Bazar | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideMujhe Azmane Waley | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideMujhe Azmane Waley | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwidePeeroñ Ka Peer Hai Raushan Zameer Hai (FULL) - Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقتPeeroñ Ka Peer Hai Raushan Zameer Hai (FULL) - Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقتYa Sahib Al Jamal Wa Ya Sayyad ul Bashar ﷺ - Aziz Mian Qawwali | Haqiqat حقیقتYa Sahib Al Jamal Wa Ya Sayyad ul Bashar ﷺ - Aziz Mian Qawwali | Haqiqat حقیقتBalaghul Ala Bekamalehi | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideBalaghul Ala Bekamalehi | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideShikwa Jawab E Shikwa (FULL) - Aziz Mian Qawwal | Kalaam E Iqbal | Dr Allama Iqbal | Haqiqat حقیقتShikwa Jawab E Shikwa (FULL) - Aziz Mian Qawwal | Kalaam E Iqbal | Dr Allama Iqbal | Haqiqat حقیقتWada - Aziz Mian | EMI Pakistan OriginalsWada - Aziz Mian | EMI Pakistan OriginalsLakhon Ne Dhoom Machayi | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideLakhon Ne Dhoom Machayi | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideBaksh Deta Tu Baat Kuch Bi Na Thi | Aziz Mian | Clear Audio | Full complete versionBaksh Deta Tu Baat Kuch Bi Na Thi | Aziz Mian | Clear Audio | Full complete versionHosla Harey Na Insaan Parishani Mein | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideHosla Harey Na Insaan Parishani Mein | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideAllah Hi Jane Kaun Bashar Hai | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideAllah Hi Jane Kaun Bashar Hai | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideSaya-e-Mustafa Hussain | Ishq Ka Devta Hussain عليه السلام | Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقتSaya-e-Mustafa Hussain | Ishq Ka Devta Hussain عليه السلام | Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقتGreatest Hits Of Aziz Mian Vol.1 | Non Stop Jukebox | Aziz Mian Qawwali CollectionGreatest Hits Of Aziz Mian Vol.1 | Non Stop Jukebox | Aziz Mian Qawwali CollectionKoi Aye Koi Jaye | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideKoi Aye Koi Jaye | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideRaaz Khud Mushtahar Ho To Mein Kya Karoon (FULL) - Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقت |Raaz Khud Mushtahar Ho To Mein Kya Karoon (FULL) - Aziz Mian Qawwal | Haqiqat حقیقت |Dil Jala Kar Mera Muskarate Hain | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideDil Jala Kar Mera Muskarate Hain | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideShikwa | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideShikwa | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideNasim e Subah Gulshan Mein | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideNasim e Subah Gulshan Mein | Aziz Mian | complete official HD video | OSA WorldwideMitti Ki Moorat (Part 1 & 2) - Aziz Mian - Sufi QawwaliMitti Ki Moorat (Part 1 & 2) - Aziz Mian - Sufi Qawwali
Яндекс.Метрика